Excerpts from Gulzaar.....

.......

Subah subah ik khwaab ki dastak pe darwaza khola
dekha
sarhad ke uss paar
bahar se
kuch mehma aaye hai
aankho se maayoos the saare
chehre saare sune sunae

Pao dhoye
Hath dhulaye
Aangan me aasan lagwaaye
aur
tandoor pe makke ke
kuch mote mote rot pakaye

potli me mehma mere
pichli saal ki phaslo ka gud laaye the
.........
.........
.........
Aank khuli to dekha
ghar me koi nahi tha
hath laga ke dekha
to tandoor abhi tak bujha nahi tha

aur hotho pe,
meethe meethe gud ka zaayka
ab tak chipak raha tha

......
khwaab tha shaayad
khwaab hi hoga

sarhad pe kal raat suna hai
chali thi goliyan
sarhad pe kal raat suna hai kuch khwaabo ka khoon hua hai.


@@@@@@@@@@@@@@@@@

Mujhko bhi tarkeeb sikha de yaar julahe
aksar tujhko dekha hai ye taana bunte
jab koi dhaga toot gaya
ya khatm hua

phir se baandh ke aur sira koi jod ke usme
aage bunne lagte ho.

maine to ikk baar buna tha
buss aik hi rishta
jiski saari girhaae
saaf nazar aati hai mere yaar julahe

Mujko bhi tarkeeb sikha de
yaar julaahe.

@@@@@@@@@@@@@@@@@

Comments