Beeta hua pal
kabhi guzarta nahi
wo sahma hua sa baitha hai
raaste ki kise pichle morh par
zinda
usske bhi kuch jazbaat hote hai
aur kuch armaa bhi
guzar to mai jaata hu
kissi musafir ki tarah
aur wo
beeta pal
wahi
meri rah takta
kissi perh ki tarah
ye aawaaz bhi aise hi
kissi pal ki hai
jo baitha hai kahi ird gird
mere pichle manzil ki
meri jaa kahi bhi jaa
buss sambhal ke jaana
buss sambhal ke jaana
yahi pe khada hai ghar tera .2
aana dobara
meri pichlee manzil
jaha mai ruka tha thodi der
aur socha tha
zindagi yahi ruk jayegi
lekin shuru hona meri kismat thi
aur chalte rehna
Fitrat
ye arma ye lamhe
ye issi raste me mili kuch khubsoorat cheeze hai
zara dekhiye
inme se kuch aapke to nahi
Comments